Google Play store hidden features And trick In Hindi-Hello Friend's Kya Aapko Play Store ke Hidden Features ke baare me pata hai? Agar nahi to mai aapko is post me Play Store ke 7 Hidden features ke baare me batane Ja raha hu Jiske baare me sayad aapko pata nahi hoga.
Aapko pata hona cahiye ki hum un hidden features ka istemaal kaise kar sakte hai. To iske liye bane rahiye hamare saath. Mai aapko batane wala hu ki Play store ke Hidden features ka istemaal kaise karte hai.
Google Play store Hidden Features And Trick In Hindi
Kisi bhi app ko apne phone me install ya update karne ke liye hum play store ka use karte hai. Play store jaha aap apps,games,e books aur movie ka collections ko downlaod kar sakte hai.
Isme se kuch collections paid bhi hai.jisko aap paisa dekar kharid sakte hai. Lekin Google Play store me itna hi nahi hai, wo apne users ko Aur bhi features provide karte hai.
Google Play store Hidden Features in Hindi 2021
- Add app in wish list
- Recover uninstalled apps
- Parental controls
- Early access
- Play Protect
- Instant apps
- Indie corner
1. Add app in wish list
Yah features bahut hi useful hai Kauki agar aapko play store par koi aisa app mil jaye jo ki bahut hi useful hai lekin aap chahte hai ki mai us app ko abhi apne phone me install na karu to uske liye aap simply app ko wish list me add karke baad me bhi install kar sakte hai.
2. Recover uninstalled apps
jab kabhi hum apne phone ko Reset karte hai to wasi condition me phone me install sabhi app automatically delete ho jaati hai, ya jab hum old phone se new phone me upgrade hote hai to is condition me bhi aapko un sabhi aaps baari baari se play store me search karke Install karna padta hai.
Lekin khusi ki baat ye hai ki aap un sabhi aaps ko phir se install kar sakte ho , uske liye aapko play store me menu icon par click karke my apps and games me jaana hai aur waha library hoga usme aapko sabhi wapas dikh jayengi jisko aapke pahle install kiya hoga.
3. Parental controls
yadi aapka phone koi bhi use karta hai to aise condition me aap parental controls ko enable kar le, kauki isko enable karne se koi aapke phone me play store se kisi bhi apps, games,movies, ya songs ko downlaod karega to waha pin daalna hoga. Tab jaake wo downlaod kar payega.
Iske liye aapko play store ke menu me settings par click karna hoga, uske baad aapko user control ke niche me parental controls hoga usko on karna hai. On karte time aapko 4 digit pin daalna hoga. Jo aapko downlaod karte time dena hoga.
4. Early access
is features se aap play store se unreleased app ko apne phone me install kar sakte hai.iake liye aapko play store ke homepage me early access tab me jana hai aur aapko unreleased apps tab me se aap kisi bhi apps ko install kar sakte hai.
5. Play Protect
ye features bahut hi helpful hai. Iski madat se aap apne phone me installed dengerous app ka pata laga sakte hai.matlab is features ko chalu karne par agar koi app aapke phone ko haani pahucha sakti hai to uski jaankari aapke ye bata dega. Iske liye aapko play store ke menu me jaakar play protect ko enable kar dena hai.
6. Instant Apps
Is features se aap kisi bhi aaps ko bina install kiye use kar sakte hai. Yaani aapko kisi aap ko check karna hai, ki is app ka Interface kaisa hai ya kuch aur janana chahte hai to uske liye is features ko enable karke apps install karne se pahle Try Now par click karke us aaps ka use kar sakte hai.
Uske baad yadi man me aaye to install bhi kar sakte hai. Iske liye aapko play store ke setting me jaakar user control me sabse niche google instent app hoga usko enable kar lena hai.
7. Indie corner
Is features ke aap kisi bhi new developer dawara publish ki gayi apps ko apne phone me install kar sate hai.iske liye aapko apne chrome browser me jaakar search karna hai indie app corner.
Iske baad pahle number link par click karna hai jo aapko direct play store me le jayega aur waha aapko new devoloper dawara publish ki gayi sabhi apps dikhegi. Waha se aap install kar sakte hai.
Conclusion:
Aaj ke is post me maine aapko bataya Google Play Store ke Hidden Features ke baare me. Jiski madat se aap play store ka bahut achee se use kar payenge. Koi sawaal aur sujhaw ho to Ap hame comment kare.